Rachel ek aisi ladki hai jiski wajah se maine yeh website shuru kari hai– jisse apne kareeb rishtedaron aur doston se kharaab mushwara milta raha hai.
Hi Josh,
Iss fall, mein college mein junior hone wali hoon. Abhi mera major hai International Relations– mujhe bohot pasand hai, lekin mujhe har baar bas yehi sunne mein ata hai “tumhe isse koi naukri nahin milne wali hai.”
Sabse pehle, woh log galat hai. Yahan kitne majors hai jisse aisi criticism milti hai– jaise ke women’s studies, philosophy, art history, comparative literature, Jewish studies, aur bohut saari jiske naam “studies” pe khatam hote hai.– lekin international relations unn mein se nahi honi chahiye.
Ek acha program international relations mein bohot saari naukri ke liye tayaar karta hai, jaise ke government, business, aur nonprofit duniya. In programs ki buniyad (abhi ke aur pehle ke international relation students, mujhe theek karo agar mein galat hoon) hai ke tumhe thoss buniyaad mile tareeka-e-kaar, siyaasat, ghirasti aur tehzeeb mein jisme tumhe dilchaspi ho. Woh mili buniyaad tum koi bhi industry pe laga sakte ho.
Ek aur bohot ehem baat ke international relation mein degree ek aisi cheez hai jisme tum apni school mein rishte bana sakte ho (jo hur major ke liye sach hota hai, lekin international relations mein aur bhi zyada). International relations mein jo major karte hai unke paas ek faiida hota hai kyun ke unke liye poori duniya hi ek job market hai, aur woh sirf U.S. mein nahi, poori duniya mein. Tumhare school ki association ki conferences aur partner organization ko istamal karo aur jitne ho sake utne ek ek shaks ka contact information lo taake jab tum naukri dhoondo ge, tum unki madad le sako ge.
(Agar tumhe samaj nahi aaya ke maine kya bola, tau uska matlab ke tum conferences mein jao, logo se milo aur baat karo aur jitne logo se rishta bana sakte ho tau banao apne poore school ke waqt mein. Agar tumhare paas thode bohot 100 LinkedIn connections nahi hai jab tak tum graduate karro ge, tau shayad tumne apni poori jaan nahi laga di logo se milne mein, rishte bana ne mein).
|
Aaj ki duniya zyada connected hai aur bohot kum rukawat hai pehle se. Agar tum ek bohot mazboot international relations ke student ho tau tumhe bohot mushkil nahin hona chahiye naukri milne mein.
Mujhe koi khayal nahi ke main apni zindagi ke saath kya karna chahti hoon.
Bilkul, is mein koi galat baat nahin hai. Yeh dekhiye: Sab log plan C per hai
Mujhe pata hai ke mujhe kisme dilchuspi hai, lekin unmein se koi bhi major aise nahi hai jo mujhe sahi naukri dila sake. Maine bohot saare professions soch liye hai, jaise ke commercial airline pilot se le tuk college ke professor se le tuk ek interpreter journalist tuk.
Yeh sach hai ke professors aur journalist ki naukri hona pehle ki tarha nahi hai–lekin phir bhi woh naukriyan hai yahaan wahaan. Mujhe pata nahi hai ke tumhara kya matlab hai interpreter se, lekin agar tum videshi zabaan ka interpretation ki baat kar rahi ho (isse ulta, jaise ke sign language interpreter hote hai ) — videshi zabaan ka skill KABHI NAHI isse zyada demand mein raha hai, mere dost.
Aur jawan pilots bohot burre paise banate hai, tum sahi kehti ho. Lekin, ittfaq dekhiye ke shayad tumne likha ke ek aadmi jo koshish kar raha hai woh sab badalne ki ek hal se: airline pilots ko tip dene ka. Main sachi keh raha hoon. Maine ek website bhi shuru kari hai pilots ko tip karne ke baare mein website. Lekin, jab tak yeh website duniya ko nahi catch on karti, tab tak yeh kuch pehle saal rough hai.
Aur thode ghanto ke sochne ke baad, bas ek hi baat rehti hai, “Agar ek achi paise dene wali job jo thodi si suraksha bhi deti hai, tau ek aisi degree leni pare gi jo tum sabse acha bardassht kar sakte ho.
Galat. Thoda bohut tau galat hai, kum se kum. Surakhsha wala hissa sab se kamzor lag raha hai, lekin tumhe pata hai kya? Aaj kal yaha KOI BHI profession nahi hai jisme sach ki surakhsha ho job ki, aur yehi duniya ka apan hissa hai jisse hum poori zindagi hum ko jhelna parega.
Main ek aur step aage barta hoon, aur shayad tumne yeh socha bhi nahi hoga: jo degree shayad tum logi uska koi bhi taluk nahi hoga jo career tum chunno gi. Main tumhe nahi bata sakta ke kitne log hai jo bilkul meri tarha hai.
Maine degree lee thi English ke major mein, aur mera GPA tha 3.91 aur mein kasam khata hoon, main bata nahi sakta ke uska kya nateeja nikla. Uske baad maine apna master’s journalism mein liya, uske baad maine kabhi bhi journalism practice nahi ki. Phir main internet ki cheezo main dilchuspi lene laga jisse maine software aur business aur marketing tak pohnchaya, phir advertising, aur phir ittefaq se dus saal baad mein 1,500 shabd ka blogs likh raha hoon roz, poori duniya ke students ke sawalon ka jawab de raha hoon.
Yeh kaise hua? Mujhe kuch nahi pata. Iska koi logical jawab nahi hai. Baat yeh hai ke– Main akela nahi hoon. Aise bohot logon ko hota hai har baar, aur jo tumhara subject hoga college major ka, uska bohot hi chota role ke tumhari zindagi thode saalon mein kaha pohnchti hai.
Ab faisla yeh hai ke “Tumhara IR major drop kardo aur graduate kuch aur field mein karro jisme tumhe job mil sakti hai, jaise ke Healthcare Administration.”
Agar tum aisa karoge, main sach kehta hoon ke main wahan drive kar kar aata hoon aur goli mardoo ka paintball gun ke saath. (sachi mein nahi, lekin mein zaroor yeh apne dimaakh mein karoonga).
Dekho, yeh sach hai ke tumhein shayad ek dum job nahin mil jayegi jisme tumhe sabse zyada pyar hai. Tum shayad yeh gaa nahi rahogi “seeti bajao jab kaam karr rahe ho” ek sparrow ke saath tumhare kande pur jab jaadoo wale dwarves naache aur kuudein rastein mein jab tum office roz jao. Lekin iska matlab yeh nahi ke tumhe ek aisi job chunno jo bohut boring ho ke tumhe jeena bhula deve.
Yahan bohut saari jobs hai jo “achi” hogi jisse tum kar sakoge and jo tumhe khudkhushi pe majboor nahi kar deve.
Agar mein faisla leti hoon majors badalne ka, kum se kum mujhe 6 years lag jayege mera Bachelor’s degree khatam karne mein, aur main umeed karti hoon ko main ek Master’s degree bhi loon—iss umeed se ke mein job ki duniya ko jitna ho sake utna taal sakoo jab tak economy achi na ho jaye aur ache paise bhi banne.
Tum apne majors mat switch karo. Aur mein iss idea ko kabhi nahi pasand kiya “grad school mein chupp jao jab tak economy behtar nahi ho jati”, sachi mein— Mujhe yeh galat lagta hai agar tum master’s degree sirf iss liye logi (nahi k eek acha career benefit).
Chalo kehte hai ke ek master’s degree 2 years se zyada tumhe cost karegi $40,000. Aur yeh matt bhoolon ke uss 2 years ka jab tum kaam nahi karogi—Starbucks pe bhi tum shayad ek saal ka $25,000 kama sakti ho. Tau yeh bann jaate hai $90,000 ka asli cost tum bharron gi aisa karne se.
Maana maine, Main ghar pe apne family ke saath rehti hoon aur ek state school jaati hoo abhi, tau student loans sabse kam pe rehne chahiye.
Aur bhi acha.
Kya yeh aur zyada acha hai agar mein jo pasand karti hoon uss mein degree loon? Ya phir main achi bhali hoon ek aisa competitive major chunno, ek job aisi loon jisme mujhe koi bhi dilchaspi nahi hai, aur dhoonda woh job jo uss degree ke liye suited hai?
Mujhe lagta hai ke yeh maine oopar cover kar liya hai, tau tumhe pata hai ke uss mein mera faisla kya hai. Good Luck, aur humein batana ke tum kya faisla leti ho!
Tum logo ko kya lagta hai? Rachel ko kya karna chahiye? Humein batao neeche ek comment chor kar.
Translated by: Rozina Hirani