Kya Farq Parta Hain Jahaan Se Aap Ko Master’s Milta Hain?

Agar aap ye blog zyada parte ho, to aap ko shayad aisa lage ke mujhe American Association of Community Colleges ki taraf se paise mil rahe ho kyunki mein bohot ketha hoon ke pehle do sal community college mein karna bohot acha hain.

Nate ne yaheen kiya hai aur saath saath apne student loan ko sirf $5,000 pe rakha hain. Aab Nate ki agli mushkil hain graduate school, kyunki aap commmunity college pe se Master’s nahin le sakhte.

Hey Josh,

Mein aap ke posts ko parta rehta hoon aur meine socha mein bhi aapna saval aap se poochelta hoon. Abhi mera teesra sal char raha hain Souther Maine Community College mein. Jaldhi mera Associates degree ho jayega Computer Technology mein jab mera internship khatam ho jata hain. Phir mein Bachelor’s degree ke liye transfer karne ki soch raha hoon.

Kyunki meine sahi planning ki thi, mere teen sal ka sirf $5,000 ka udhar hain.

Mubarak aap ko ke mere dost. Bohot bari baat he ke itne sal mein aap ne sirf $5000 ka karza jama kiya hain.


Is waqt mujhe Bachelor’s Degree ke liye ek school cunna hain. Mein soch raha hoon ke mujhe Univeristy of Southern Maine in Gorham jana chahiye kyunki unke pas Industrial Technology ka degree hain jisme Information and Communication Technology ka dehaan hain. Woh mere computer ke classes ko manenge aur mujhse business management ke classes karwaenge.

Ye sahi lag raha hain. Jin logon ko computers aur business ka pata hain un ko age bohot faida hoga.

Mujhe is liye bhi lena hain ke is degree ke liye adha minor Accounting, Computer Science, ya Business Administration mein karna zaroori hain. Mein soch raha tha ke mein Business Administration mein karoo kyunki woh classes sabse mehnati hain.

Abhi bhi sahi lag raha hain 

Mein community college 3 sal ke liye is liye gaya kyunki mujhe $800 ki class $400 ke liye mil sakhti hain. To jab mein transfer karoonga, mujhe 13-15 classes rehte hain mere degree ke liye. Mujhe lakta hain ke ye fedgree meri madat karega kisi bhi kam ke halat mein, lekin mujhe dar hein ke me is degree ke sath karoonga kya. Mein 22 sal ka hoon aur mujhe koi dar nahin ke mein abhi kam doondhna shooroo kardoo.

Mein bhi yaheen suggest karne wala tha.

Mujhe Robotics mein dilchaspi hain. University of Maine, Orono ne abhi hi Robotic ka minor paysh kiya hain. Lekin mujhe Master’s Degree karne ka hamesha manzil tha. Mein manta hoon ke ye nahiin janna ke mein aapni poori zindagi kya karne wala hoon, aur ye achi baat hain. Mein soch raha tha ke mein Computer Science mein Master’s Degree karoon jiska focus AI Programming hain, lekin school ka mujhe nahin pata.

To aap ko pata nahi aap kam kya karna chahte ho aur, agar aap ko koi nokree nahin mili agle sal mein, aap Master’s karna cahoge.

Master’s Degree ke liye kya ehem he konse school aap Master’s Degree ke liye jate ho(kam ke liye)?

Kam pe depend karta hain, aur humne koi makhsoos nokree ke bare mein bat nahi. Zyada der, nahi, fark nahin parta. Zyada faidemand ye hain ke aap ke pas Master’s degree hain. Lekin, ye paro…

Mein USM ya UM Orono se Master’s karna soch rahi thi take mujhe out-of-state tuition nahin bharna pare. Mein janti hoon ke USM koi Harvard nahi hain, lekin Orono bhi bohot behtar nahin hain aur uski tuition $2000 zyada hain. Far kya hain masters mein?

Dubara ye bohot adhoora sawal he jiska mein adhoora jawab de sakhta hoon. Master’s programs dushwari aur zimedaari mein kafi alag hote hain. Thore hote hain jo studies pe zyada dehaan dete hain aur thore hain jo aapki payshawar pe zyada dehaan dete hain. Thore hain jo aapko in dono cheezon mein se chunne dete hain. Aur ye sirf shoroowat hain- mujhe pata hain hume master’s students ke comments bohot milne wale hain. Mein bhi aap ko apne zyndahi ke farq bata sakhta hoon, lekin mujhe nahiin lakhta ke aap ko faida ho ga.

Kya state ke bahar MIT ya Rochester Institute of Tech behtar ya faidemand hoga?

Aapne bilkul sahi sawal poocha hain, ke faideman hain ya nahin. Hamesha yehi sawal hota hain. Mein aapko ye to nahin kahoonga ke bohot se employers MIT se Master’s dekh ke interest nahin lenge. Magar MIT ka degree $40,000 ek sal ka hota hain. Shayad faida ho kyunki MIT se degree aap ke liye kafi darwaze khol sakta hain.

Ab ye dekhna hain, ke aap ko woh darwaze maine rakhte hain? Agar aap kam mein aage barna chahte ho, to shayad haan. Lekin agar aap aisa koi kam karna chahte ho kis se aap ke bill bhar jaye aur aap aasaan zyndagi jeena chahte ho, to shayad faidemand nahin hain.

Master’s Program dhoonte howe mujhe kya dekhna chahiye?

Baat ye he ke jo bhi jawab mein aap ko de sakhta hoon, sab is pe depend karta hain ke aap kis tarha ki zyndagi jeena chahte ho college ke bad. Mujhe lakhta hain ke aap ne bohot achi tarhaan se aapna karza kam rakha hain aur site ke readers ko aap ko payrwara karna chahiye. Lekin shayad aap ko kuch zyada chahiye.

Agar aap ko koyi taraqqi nahin karni college ke bad, to shayad aap ko master;s karni ki zaroorat hi nahin hain.
Agar aap ko pata nahin aap karna kya chahte ho, to mein kahoonga ke aap ko koi aisa degree choona chahiye jis se aap ko achi general taaleemmil jaye take aap ke pas zyada options rahe.

Aaj ke liye mujhe bas yahi kehna hain. Agar aap grad-student ho ya grad-school mein jaane wale ho, aap ko kya lagta hain? Nate ko kya karna chahiye? Comments mein hume batao.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top