Tarjuma: Kiran P
Maa baap ka mahina hain! Aaj mein Jim ka sawal ka jawab de raha hoon. Jim ki beti ko kafi colleges mein nahin mila, aur ye jan na chahta hain kyun.
Meri beti nein honors ke sath school khatam kiya (3.8+ gpa) (top 10% class ki). Application bharna bohot mushkil tha.
Woh to hain. Mein khud dar raha hoon jab mere bache university ke umer ke hojayenge.
Meri beti nein SAT pe bohot acha nahin kiya. Humne usko hafte ke do din ke liye class mein bheja, lekin uske bad bhi uska score 1600 ka hi aya. 650 Math, 490 Writing, 460 Reading/English. Humne decide kiya ke doobara nahin lein.
Bad mein aur is ke bare mein, lekin mujhe lag raha hain ke uske kam scores nein nooksan kiya hoga.
|
Meri beti Duke University, Vanderbilt University, Wash U in St. Louis, U of Penn, ya Emory U jana chahti thi.
Sab bohot mushkil aur umde schools.
High school mein is nein Wash U pe ek summer goosara jahaan usko 7 college credits(GPA 3.81/4.00) mile. Uske bad usne Penn State U pe 11 credits kiye, 1-4-credit Calculus II Honors Course with a 4.00; (GPA 3.59/4.00).
Bohot khub!
High school mein usne sare CPA (college prep advanced) courses liye sivai English. Usne CPA se CPA in Biology I, Chem I, II, Geometry , Pre-Calculus, Spanish II, III, IV V kiye.
Bohot ache, lekin mujhe lag raha hain uski kami English mein hain.
Usne concert, marching aur jazz bands, National Honors Society, 2 sports, Student Council, sab mein participate kiya. Woh ek HOBY ki delegate thi aur us ke ilawa bohot leadership development ka kam kiya hain.
Mujhe bohot khub resume lag raha hain. Woh is se zyada nahin kar sakhti thi.
Emory ke siwae is ke koi college mein nahin mila. Ye wohi colleges hain jo kehte hain ke SAT pe bohot gor nahin karte.
Haan, lekin mujhe lakhta hain ke sare colleges yeh kehte hain aaj kal. SAT application pe dikh raha hain, aur us ka koi to asar parega.
Mujhe laga tha ke uske grades and honors SAT ka asar kam kardenge. Aap ko kiya lagta hain? Usko kyun nahin mila? Mene college courses ke bare mein sahi socha?
Mein ye nahin bata sakhta ke admissions kya soch rahi thi, lekin mujhe lakhta hain mein janta hoon us ko kyun nahin mila. Do cheezein hain: kamzor SAT score aur dushwari uski schools ki.
Kafi schools uski English ki kamsori ko jane dete kyunki uska math aur resume bohot muzboot hain. Lekin jo schools aap dekh rahe the, woh in cheezon ko jane nahin dete. Mujhe to herangi ho rahi hain ke usko Emory mein mil bhi gaya. Mubarak aap ko!
Meine darmiyaana SAT score dekhe aur aap ki beti ne na quami darmiyaana ke neeche kiya. Is ke saath, sare high-end college us ko daakhlaa nahin dete.
College ke courses ne uski resume ki madad ki hogi, lekin sab Math mein the, to uski English ya writing ke bare mein kuch naya nahin bataya.
Ye bhi ho sakhta hain ke uski kahi aur galti ho gai. Meine uski essay nahin dekhe hain.
Shukriya aap ki waqt ke liye. Mei aapni beti ko samjhane ki joshish kar raha hoon ke usko aapni manpasand colleges me kyun nahin mila. Mein aap ka column roz parta hoon.
Shukriya ke aapne likha aur parte hain! Agar aap aur details chahte hain, aap mujhe email kar sahte hain. Mein soch raha hoon ke uske liye mushkil ho ga, lekin us ke liye bohot options hain aur mujhe bohot boora lage ga agar itni zaheen larki ka hosla shakni ho. Is mulk mein hume math wizards ki zaroorat hain.
Comments mein aur batao. Woh Emory jaane wali hain? Aur kahin apply karegi? Agar ye aapni scores 50 points barha sakhti hain, to usko state schools ya chote schools se ache scholarships mil sakhte hain.
Kaise? Mein hota to mein tutoring mein dekhta. Aap ko achi aur sasti English tutoring mil sakhti hain online overseas se. Woh bhi face-to-face mudad Master’s aur PHD logon ke sath. Guru.com aur eLance.com pe dekho.
Usne ACT liya hain? Acha dusra rasta hain aur usme science ka bhi section hain. Adha ACT math aur science hain and sirf 1/3 SAT math hain, to aap ki beti ka faida ho saktha hain.
Aaj ke liye bas itna hi. Aap sab batao comments mein, aap ko kya lagta hain!